Hazrat Mohammad Mustfa SAWW- Maa Baap ki nafarmani wo gunah hai ki aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW-Agar Koi MUSALMAAN ko milawat wala MAAL bechta hai wo humme se nahi hai. QAYAMAT ke din wo YAHUDIYO ke sath uthaya jayega. ||  S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||  Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Wo Jis Ne Apny Na Na Ka Wada Wafa Kar Dia Ghar Ka Ghar Supard-E-Khuda Kar Dia Nosh Kar Lia Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us 'Hussain Ibne-Ali' Par Lakhon Salam ||  Imam Baqir A.S. Agar koi Momin ke liye dua karta hai to farishte ALLAH se uske liye dua karte hai aur farishton ki dua ALLAH jald qubul karta hai. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Agar koi chahe ke uski DUA qabool ho to woh HARAM KHANA aur HARAM KAMAI se parhez kare. ||  Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Ali A.S.- Apne bacho ka naam paida hona se pehle rakho. || 
Month Of Jamadi-al-Awwal
Share |

5 Jamadi-al-Awwal Birth of Hazrat Zainab bint-e-Ali(a.s.) - [5 A.H.]

13 Jamadi-al-Awwal Martyrdom of Hazrat Fatima Zahra(s.a.) - [11 A.H.]

15 Jamadi-al-Awwal Birth of Imam Zain-al-Abideen(a.s.) - [38 A.H.]

15 Jamadi-al-Awwal Battle of Jamal - [36 A.H.]

17 Jamadi-al-Awwal Battle of Jamal - [36 A.H.]