S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Imam Ali A.S.- Jis Din Insaan koi Gunah na kare, wo din uske liye EID ka din hai. ||  Imam Ali A.S.- Jab tak tumhe kisi kaam ka TAJURBA/EXPERIENCE na ho jaye tab tak kisi bhi tarah ka qadam mat utahao. ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||  Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Agar koi chahe ke uski DUA qabool ho to woh HARAM KHANA aur HARAM KAMAI se parhez kare. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW-Agar Koi MUSALMAAN ko milawat wala MAAL bechta hai wo humme se nahi hai. QAYAMAT ke din wo YAHUDIYO ke sath uthaya jayega. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 ||  Imam Ali A.S.- Apne bacho ka naam paida hona se pehle rakho. ||  Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai To Yaad Diladunga Jung Haider-E-Karrar Ki ||  Imam Ali A.S.: silence is the best reply to a fool. ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Imam Ali A.S.-Haaya(Sharm) bure kaamo se rok deti hai. ||