Imam Ali A.S. Se Poocha gaya ke Sharif kaun hai? AAP ne farmaya 'Jo Kamzor ke saath INSAAF kare'.  ||  S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||  Imam Ali A.S. : If there was another god he would have sent you his prophets. ||  Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||  Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. ||  Imam Ali A.S.: silence is the best reply to a fool. ||  Hazrat Mohammad Mustfa SAWW- Maa Baap ki nafarmani wo gunah hai ki aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Imam Ali A.S.-Haaya(Sharm) bure kaamo se rok deti hai. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai To Yaad Diladunga Jung Haider-E-Karrar Ki ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. || 
Video Gallery