Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||  Imam Ali A.S. Se Poocha gaya ke Sharif kaun hai? AAP ne farmaya 'Jo Kamzor ke saath INSAAF kare'.  ||  Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Imam Ali A.S. : If there was another god he would have sent you his prophets. ||  Imam Sadiq A.S.- Jo Quran ki tilawat dekh ke kare to uski annkhon ki roshni mazbut hogi aur uske waledain ke gunah maaf honge, chaahe wo kafir hi kyun na ho. ||  Imam Ali A.S.- Apne bacho ka naam paida hona se pehle rakho. ||  Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Imam Baqir A.S. Agar koi Momin ke liye dua karta hai to farishte ALLAH se uske liye dua karte hai aur farishton ki dua ALLAH jald qubul karta hai. ||  The Holy Prophet Mohammad s.a.w.w said :Train your children in three things :thelove of your Prophet ,the love of his progeny i.e AHLULBAYT and recitation of the Quran....Al -Jami-ul-saghir vol 1 p14 ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||  Wo Jis Ne Apny Na Na Ka Wada Wafa Kar Dia Ghar Ka Ghar Supard-E-Khuda Kar Dia Nosh Kar Lia Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us 'Hussain Ibne-Ali' Par Lakhon Salam ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Ali A.S.- Jab tak tumhe kisi kaam ka TAJURBA/EXPERIENCE na ho jaye tab tak kisi bhi tarah ka qadam mat utahao. ||  S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||  Imam Ali A.S.: silence is the best reply to a fool. ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. || 
Rohi Wa Jismi Lakal Fida ( Title)
Date: 16th Nov 2012


Most Viewed Vidoes