Hazrat Mohammad Mustafa SAWW-Agar Koi MUSALMAAN ko milawat wala MAAL bechta hai wo humme se nahi hai. QAYAMAT ke din wo YAHUDIYO ke sath uthaya jayega. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||  S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||  Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Imam Sadiq A.S.- Jo Quran ki tilawat dekh ke kare to uski annkhon ki roshni mazbut hogi aur uske waledain ke gunah maaf honge, chaahe wo kafir hi kyun na ho. ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Imam Ali A.S. Se Poocha gaya ke Sharif kaun hai? AAP ne farmaya 'Jo Kamzor ke saath INSAAF kare'.  ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||  Imam Ali A.S. : If there was another god he would have sent you his prophets. ||  Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. || 
Doosra Abbas (a.s) Nahe
Date: 17th Nov 2012


Most Viewed Vidoes