Imam Ali A.S.- Jab tak tumhe kisi kaam ka TAJURBA/EXPERIENCE na ho jaye tab tak kisi bhi tarah ka qadam mat utahao. ||  Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Imam Sadiq A.S.- Jo Quran ki tilawat dekh ke kare to uski annkhon ki roshni mazbut hogi aur uske waledain ke gunah maaf honge, chaahe wo kafir hi kyun na ho. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Agar koi chahe ke uski DUA qabool ho to woh HARAM KHANA aur HARAM KAMAI se parhez kare. ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||  Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||  Imam Ali A.S.-Haaya(Sharm) bure kaamo se rok deti hai. ||  Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. || 
Aye Meri Behno Suno
Date: 23rd Nov 2012
Share |


Most Viewed Vidoes